daag daag ujaala

daag daag ujaala lyrics

Poster daag daag ujaala

daag daag ujaala

lyrics/Album : Firaaq
Details
Singer Faiz Ahmad Faiz
Genre Poem
Language Hindi
Album Firaaq
Poster daag daag ujaala
play
Lyrics

yeh daag daag ujaala, yeh sabkajida sehar

woh intzaar tha jisaka yeh woh sehar toh nahi

yeh woh sehar toh nahi, jisaki aarju leke chale the

yaar ki mil jaayegi kahin na kahin

falak ke dasht mein taaron ki aakhari manjil


kahin toh hoga shabesust mauj ka saahil

kahin toh jaake rukega safinaaye gham-e-dil

jawaan lahu ke pursrar shaahraao se jale jo yaar

toh daaman pe kitane haath pade

dayaare husn ki besabr khaabgaaho se


pukaarati rahi baahein, badan bulaate rahe

bahot ajij thi lekin lekin rukhe sehar ki lagan

bahot kari tha hansinaane noor ka daaman

subuk subuk thi tamanna, dabi dabi thi thakan

suna hai ho bhi chuka hai firaaq-e julmatu noor


suna hai ho bhi chuka hai visaale manjilon ka aam

badal chuka hai bahot ehale dard ka dastur

nishaake vasl halaalo ajaabi hijr haraam

jigar ki aag, najar ki umang

dil ki jalan, kisi pe chha rahi hijra ka kuchh asar hi nahi


kaha se aayi nigaare saba, kidhar ko gayi

abhi charaabe sare raah ko kuchh khabar hi nahi

giraani yeh shab mein kabhi kami nahi aayi

nijaate dido dil ki ghadi nahi aayi

chale chalo ki woh manjil abhi nahi aayi

You May Also Like (Similar)

Advertisement
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)