hindustan hindustan

hindustan hindustan lyrics

Poster hindustan hindustan

hindustan hindustan

lyrics/Album : Border
Details
Singer Shankar Mahadevan & Sonali Rathod
Genre Patriotic
Language Hindi
Album Border
Poster hindustan hindustan
play
Lyrics

sarve bhavantu sukhina

sarve santu niramaya

sarve bhadrani pashhaantu

maakaschit dukh bhaa bhavet

hindustan hindustan

hindustan hindustan

meri aan meri shaan

meri jaan hindustan

hindustan hindustan

hindustan hindustan

meri aan meri shaan

meri jaan hindustan

paanch hazar warsha pehle isi

ved mantra ka uchhar karke

param peeta parmatma ki

yaachana karte sabka

bhala karo bhagwan

sabko sukh aur shanti do aur

paanchso warsha pehle

isi paath ko saral

bhasha mein dohraya

nanak naam jalti kala

tere paani sarvata bhala

hindustan hindustan

hindustan hindustan

meri aan meri shaan

meri jaan hindustan


parantu sabke liye sukh aur shanti

maannewale hindustani

kya khud shanti se sakte,

rehte bhi toh kaise rehte

unki dharti ka dusra naam

sone ki chidiya hai

jiski mitti mein sona au

jungalo mein chandan hai

shayad isiliye prakriti ne

iski suraksha ke liye

uttar mein himalaya

dakshin mein hind mahasagar

purab mein bangal ki khadi aur

paschim mein thar ka

registan bana diya tha

hindustan hindustan

hindustan hindustan

meri aan meri shaan

meri jaan hindustan


phir bhi sone ki

chamak aur chandan ki

khushbu bahar ke

hamlaawaro ko lubhati rahi

sikandar ke ghodo ki taapo ne

hamare dharti ke

seene ki dhadkan tez kar di

tohun, mangol, arab, purtagali,

francisi aur angrej koi pichhe na raha

sab aaye aur aate hi rahe,

shayad nahi jaante the ke jahaan

sab duniyawale apni

apni matroobhoomi se pyar karte hain

waha hindustani apni

matroobhoomi ki pooja karte hain

jee haa pooja

hindustan hindustan

hindustan hindustan

meri aan meri shaan

meri jaan hindustan


karodon hindustaniyon ki

bhaavna ko shabdo mein

dhaalte hue hi toh bankim

babu ne kaha tha

sujalam sufalam malayaj

shitalam shashya shamlam

mataram vande vande mataram

hamlaawaro ko haar

maankar wapas jaana pada

par kutch log yahi reh gaye

unhe hamari dharti maa ne god le liye

aur itihaas sakhsi hai maa ne

apni god se janme aur god liye

bachho mein kabhi antar nahi kiya

shayad isiliye jab jab kisi hamlawar ne

hamari dharti ke seene

par paanv rakhna chaha

sab bachhe seena

taankar saamne khade

ho gaye aur seema suraksha ki

deewar khadi ho gayi

hindustan hindustan

hindustan hindustan

meri aan meri shaan

meri jaan hindustan


hamlwar iss deewar se

takrakar wapas jaate rahe

jo unniso basat mein hua wahi

san paisat aur wahi ikahattar mein

har baar hindustaniyon ne wapas

jaate dushman ki or

dosti ka haath badhaya

kyunki hamari mitti ne

hamein sikhaya hain

yadi nafarat karne wale

nafarat ka daaman nahi chhodte

toh mohabbat karne wale

mohabbat ka daaman kyun chhode

hindustan hindustan

hindustan hindustan

meri aan meri shaan

meri jaan hindustan.


You May Also Like (Similar)

Advertisement
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)